kore kagaj par likhte likhte unka nam
hum shayri bhi karne lage
socha tha kuch dard banth lenge
par mujhe kya pata tha ki mere ye shabd
dusaro ko pasand aane lagenge
dhire dhire dard to kam hone laga
par shabdo ka sil sila badne laga
apne nam ko me pustak par likha karta tha
par aaj maine apna nam pustak par chapa dekha
ki meri udaan ki vo patang kat
ke us bewafa ke ghar me bhi giri
aachank us befawa ka dil pighla
aur vo meri aur badi
aankhon meri khushi thi
par us dhokhe ka bhi ahsas tha
par mere dil ne uska hanth nhi thama
isliye maine apni kalam ko hi apnaya
kyunki is kalam ki vajah se
bhula hua phir ghar laut kar aaya..
write by
(Gaurav kashyap)
No comments:
Post a Comment