Powered By Blogger

♥♥PhIr MiLeNgE♥♥

Tuesday, 10 July 2012

"DiDi"



Badalte hua mausam se kuch sikha
usne to barish ki bundon ko parkha
vatavaran me hulchul si mach jati hai
jab vo khil khila ke hasti hai
komal si ahat uski
sabke dilon me yun utarti hai
jab uski payal ki awaj sabke kano me padti hai
kya karen likhna to bahut kuch chahte hai
par meri kalam unki tarif karne se darti hai..
subha ki thandak chal kati hai uska bholapan
har dub ta suraj deta hai use uljhan
lagta hai madhosh hai uska jeevan
uapar valle ne bheji hai ek esi kalpna
ki humne apne shabdo me tarif to kar di hai
vase to unki tarif me kuch kaha nhi ja sakta
kyunki uski jhalak pate hi
har subha
suraj likhta hai apni kirno ke jariye
unke liye kavita..
shabdon ke jariye unke liye dua mangta hun
ki unke chehre par hassi bani rahe
taki hum unki tarif me kuch na kuch likhte rahe
chahe duniyan me kuch bhi ho
par vo kubsurat chehra
humesha kush rahe muskurata rahe..
write by
(Gaurav kashyap)

No comments:

Post a Comment