Powered By Blogger

♥♥PhIr MiLeNgE♥♥

Tuesday, 10 July 2012

"kamdhenu ki yadein"




kuch adhure palon ko samet kar
maine un yadon ko yaad kiya
to maine dekha
vo pyar,vo dosti
jo ab kahin kho gayi hai
na jane kyun khushi ke bad aksar gum a jata hai
haste hua chehre par rona kyun cha jata hai
un sawalon ke jawab aaj me dund raha hun
kya hua tha un betein palon me ye me soch raha hun
kyun vo chut gaye
kyun vo tut gaye
jo kabhi apne the
aj vo phir kyun ruth gaye
aisa bhi kya ruthna hai jo intazar karte ho
un chehro ko yaad banakar har roz muskurate ho
ek bar hanth badhane se kya ho jayega
jisse aaj nazare churate hai 
vo apna ban jayega
mai aksar kaha karta tha ki dur jane ke bad 
hum ek dusare ko pehchan bhi nhi payenge
aksar dusre hi hamari pehchan batenge
vaise to ab hum bas gaye hai dosti ke un kisso me
kya hum phir un palon ko ji payenge......


write by
(Gaurav kashyap)

"KaLm Ki JeEt"




kore kagaj par likhte likhte  unka nam
hum shayri bhi karne lage
socha tha kuch dard banth lenge
par mujhe kya pata tha ki mere ye shabd
dusaro ko pasand aane lagenge
dhire dhire dard to kam hone laga
par shabdo ka sil sila badne laga
apne nam ko me pustak par likha karta tha
par aaj maine apna nam pustak par chapa dekha
ki meri udaan ki vo patang kat
ke us bewafa ke ghar me bhi giri
aachank us befawa ka dil pighla
aur vo meri aur badi
aankhon meri khushi thi
par us dhokhe ka bhi ahsas tha
par mere dil ne uska hanth nhi thama
isliye maine apni kalam ko hi apnaya
kyunki is kalam ki vajah se
bhula hua phir ghar laut kar aaya..
write by
(Gaurav kashyap)

"DiDi"



Badalte hua mausam se kuch sikha
usne to barish ki bundon ko parkha
vatavaran me hulchul si mach jati hai
jab vo khil khila ke hasti hai
komal si ahat uski
sabke dilon me yun utarti hai
jab uski payal ki awaj sabke kano me padti hai
kya karen likhna to bahut kuch chahte hai
par meri kalam unki tarif karne se darti hai..
subha ki thandak chal kati hai uska bholapan
har dub ta suraj deta hai use uljhan
lagta hai madhosh hai uska jeevan
uapar valle ne bheji hai ek esi kalpna
ki humne apne shabdo me tarif to kar di hai
vase to unki tarif me kuch kaha nhi ja sakta
kyunki uski jhalak pate hi
har subha
suraj likhta hai apni kirno ke jariye
unke liye kavita..
shabdon ke jariye unke liye dua mangta hun
ki unke chehre par hassi bani rahe
taki hum unki tarif me kuch na kuch likhte rahe
chahe duniyan me kuch bhi ho
par vo kubsurat chehra
humesha kush rahe muskurata rahe..
write by
(Gaurav kashyap)

"yAdEiN"




kabhi khul ke barish me bhiga karte the
aj vo sab kahan chip gaye
lagta hai vo pal vo khushiyan sab humse ruth gaye
koi kho chuka hai apna lakshaya pane me
koi dub chuka hai naya kal banane me
ae doston un palon ko yaad to karo
jo kahin bas chuke hai ab humare sapno me
bhul gaye vo din
jab subha ka intazar hota tha
ek nayi sharat karne ko dil bekrar hota tha
vo gaba mam ki dant
mithi si to lagti thi
aur humari vo sab subjects ki copy
sirf humare namo se hi to sajti thi
kabhi kisi ko rulana
aur fhir unhi hantho se khana
ye to humari aadat si ban gayi thi
lagta hai vo khushiyan vahin tham gayi thi
par ab bahut thak chuka hun me
jina chahta hun vo pal dubara
ae doston
kya sath milega tumhara....
write by
(Gaurav kashyap)