Powered By Blogger

♥♥PhIr MiLeNgE♥♥

Sunday 9 October 2011

"KyU pArT 2"

Raat unake liye hoti hai jinake pass sapane hote hai,
Subah unake ke liye hoti hai jo apne sapano se jagate hai,
Mere pass na sapane hai na subah.

Deepak main agar nor na hota,
Tanha dil mazboor na hota,
Hum apko good evening kahane khud aate,
Agar apka aashiyana itani door na hota.

Muskura kar gum na chhupaya karo,
Yun kisi se dil lagaya na karo,
Bahut ajib hoti hai pyaar ki ye rahe,
Yun kisi pe taras khaya na karo.

More precious than dimond
More valued than gold,
Friendship is a deep emotion
That two hearts holds.
It’s hard to wait on something
When you know it might never happen,
But it’s even harder to give it up
When you know its everything you wanted.

Each heart has pain………..
Only the way of expression is different,
Some hide it in their eyes,
While others hide it in their smiles.

Waqt gujerega, hum bikhar jayenge,
Kaun jane hum kidhar jayenge,
Par hum apki parchayi hai,
Jahan aap huye tanha, wahi hum nazar aayenge,

Kisi ki ummid main wo aise khoye the,
Palko se pata chalata tha wo raat bhar roye the,
Dhimi si ahat se unake pass jana chaha,
Jane kyu laga wo hume yaad karate karate soye the,

Ek dil dil ko zkham de gaya,
Zindagi bhar jeene ki kasam de gaya
Lakhon phoolon main se ek phool chuna tha
Jo kanto se bhi gahari chuban de gaya,

Dil ko dil samjho to ishq karo,
Dard ko dard samajho to mohabbat karo,
Wada ko wada samjho to pura karo,
Humako apna samajho to ek sms karo.

Dariya wafao ka kabhi rukata nahi,
Mohabbat main insane kabhi jhukata nahi
Hum chup hai kisi ki khushiye le liye
Aur wo sochate hai dil humara dukhata nahi.

Dil main aap ho aur koi khas kese hoga
Yadon main apke siva koi pass kese hoga
Hichkiya kehati hai aap yaad karate ho
Par bologe nahi to ehsas kese hoga

Usako mere wado par aitbaar tha
Dil main usake bhi bahut pyaar tha.
Chhod diya beech safat main mera hath
Shayad kinare par use kisi aur ka intezar tha.

Usaki ankheno main wafa dekhi thi
Mehekate phoolo ki ada dekhi thi ye
Na socha tha wo bewafa hogi
Us main to chahat ki inteha dekhi thi.

Aaj kyo kisi ki yaad sone nahi deti
Is zamane ki bandish rone nahi deti
Kesi kashish hai unaki,
Jo unhe mera aur mujhe kisi aur ka hone nahi deti.

Friendship is a God’s greatest & lovely creation
That on one can buy it
But a sweet friend like you.
No one can find again,
Because I already found you.

Mohabbat mujhe thi usse itani sanam,
Yaadon main dil tadapata raha,
Maut bhi meri chahat ko rok na saki,
Kabar main bhi dil dhadakata raha.

Umeed ke phoolo ko khilate nahi dekha,
Apne ko kabhi haste huye nahi dekha,
Unhe mere pyar ka ehasas to hai
Lekin unhone mujhe kabhi tadapate huye nahi dekha.

Teri hi khusboo meri sanson main hai,
Teri hi tasveer meri ankhon main hai
Tere liye hi dil ab dhadakan chahe,
Teri dhadakan ki awaz meri sanson main hai.

Apko dekhne ki hasarat si ho gayi hai,
Ab is kadar chahat si ho gayi hai,
Aap milo na milo humase,
Par apko dil main rakhane ki adat si ho gayi hai.

Raat hote hi tare timtimane lage,
Band ankhon main fir wo hasin khwab chhane lage,
Tu aayegi sapno main is umeed se soye the,
Neend khulate hi wo umeed ke ansu ankhon se beh gaye.

Door tak andhera hi andhera chaya hai,
Ye raat hai ye tere gamo ke saya hai,
Nazar nahi aata koi manjar mujhako,
Na jane meri zindagi main ye kesa mukam aaya hai.

Zindagi guzar gayi dil ko samajhane main,
Pyaar ke un kisso ko bhulane main,
Samajh bethe the jise zindagi apni,
Wo shamil the meri barbadi ka jasan manane main.

Bhola sa chehara yaar rahega,
Pyaar bhare dil yaad rahega,
Yeh galat hai ki hum apko bhul jayenge,
Aap to kya apka sath bhi yaad rahega.

Tujhe milane ki justajoo bhi hai,
Dil main tu rubaro bhi hai,
Humane socha ki dil ko jala dale,
Phir khayal aaya ki dil main tu hi tu hai.

Unaki yaad main sab kuchh bhulaye bethe hai,
Chirag khushion ke buzaye bethe hai,
Hum to marenge unki bahon main,
Ye maut se shart lagaye baithe hain.

Pyaar karo pyar karo pyaar se koi na bach paya hai,
Sukh ha isame dukh hai isame,
Hansi hai isame gum hai isame,
Tu hai isamen main hu isame,
Duniya ko rangeen isane banaya hai.

Koi gum nahi phir bhi man udas hai,
Koi rishata nahi phir bhi ek aas hai,
Kehane ko hai bahut apne par,
Tu hi khas hai…

Sham ki tanhai me kho na jana,
Kisi ki masti man doob na jana,
Milegi zarur ek din manzil tumhe,
Unhe pakar hum ko bhul na jana,

Mere dukh ki koi dawa na karo,
Mujhako mujhase abhi juda na karo,
Ye sikhaya hai dosti ne hume,
Dost banakar kabhi daga na karo,

Laharo main dubate rahe dariya nahi mila,
Unase bichhadakar phir koi waise nahi mila,
Kuch log thodi der to achchhe lage,
Magar hum jisake ho sake koi waisa nahi mila.

Ek mulakat anjan hoti hai,
Anjan se hi to pehchan hoti hai.
Jaha dekho waha ishq ke bimar bethe hai.
Hazaro mar chuke hai fir bhi lakho taiyar bethe hai.

Pyaar ka ehsas kitana subhana hota hai.
Na isame koi jagata hai na sota hai,
Yeh to rishat hai jo ankhon se bayan hota hai.

Taqdir ne kuch aisa khel mere sath khela hai,
Jo kabhi apna tha wo aaj praya bankar baitha hai,
Ae khuda ab tu bata kisako sunae ye haal dil apna,
Har apna to ajnabi bankar baitha hai.

Neend ankhon se churane wale,
Neend tujhako bhi kahan aati hogi,
Tadapate sirf hum hi nahi humari yaad
Mein jaan to tumhari bhi jati hogi.

Sapano ko tarah aakar chale gaye,
Apno ko bhula kar chale gaye,
Kis bhul ki saza di unhone hume
Pahale hasaya phir rula kar chale gaye,

Kismat se apni sabako shikayat kyo hoti hai,
Jo nahi milata usi se mohabbat kyo hoti hai.
Kitane khade rahe hai raho main dil ki phir bhi,
Dil ko usi ki chahat kyo hoti hai.

No comments:

Post a Comment