Powered By Blogger

♥♥PhIr MiLeNgE♥♥

Saturday, 26 November 2011

"MeNe BhI PyAr KiYa"


meri jindagi me har taraf tha ujala
phir bhi hum us roshni ki taraf bhage
jo sirf ek chalava thi
samjhte samjhte thoda waqt gujar gaya
jis roshni ko apna samaj ke age bad rahe the
vo kab andhera ban gayi pata hi nhi chala
vapis ane ka koi rasta dikh nhi raha tha
roshni ka intazar tha kyunki bepanha usse pyar tha
par roshni to nikli bewafa
jis andhere se me aksar dara karta tha aj usi ka hi me ho gaya
ye kya ho gaya tha mujhe is sawal ka jawab me dhund raha tha
par dil se us roshni ka khalal jata hi nhi tha
abhi bhi thi as
ki vo ayegi mere pass
par andhera mujhe apna banata ja raha tha
bas ek as ke sahare me jindagi kate ja raha tha
ki ek ajib mod agaya 
andhera chatne sa laga
meri ankh khuli aur charo taraf ujala hi ujala tha
mujhe laga ki bewafa ki katputli wafa me badal gayi
shayad use mujhpar reham agaya
tabhi ek awaj ayi aur mujse kehane lagi
ki ye tera weham hai 
tu bhi ek badnasib aashiq hai
jo swarg ke dwar agaya...............................


                           write by
                     (Gaurav kashyap)

Sunday, 13 November 2011

"AdhUrA cHaPtEr"

kuch gujare lamho ke bare me soch raha tha
phir soch ki paltun un panno ko
jis kitab ka akhiri chapter abhi baki hai
jab socha un lamho ke bare me to dekha
kuch dost lad rahe hai kuch has rahe hai
aur usi beech ek roshni hai jo
meri ankho me sama si gai hai
aur mujhe yad dila rahi hai aur keh rahi hai
ki kahan hai vo dost jo kabhi apne hantho se ek dusare ko khana khilaya karte the
kahan hai vo dard jo hum ek dusare ke liye bata karte the
kahan hai vo samay jo hum ek sath bitaya karte the
aur kahan hai vo jhagde jo pal bhar me hi simat jaya karte the
jab maine use jawab diya
to andhera sa cha gaya
roshini ne muh mod liya
aur me ghirti tanhaiyon me agaya
kahan maine us roshni se
ki vo hath ab badua mangne ke liye uthte hai
ki vo dard ab hum akele hi sehte hai
ki vo samay ab kate nhi kat ta hai
ki vo jhagde ab samete nhi simat te hai
ki kya thi vo vajah
jo is kadar ho gaye hum juda
ki jin dosto ke nam sunte hi hontho par muskurahat ajati thi
ki vohi nam sunte hi hote hai hum kyu khafa
ki ae dosto milo phir dubara
jo reh gaya hai chapter adhura
use pura karna lakshya hai hamara.........



                      write by
               (Gaurav kashyap)